Sunday, November 4, 2012

Ek lafz-e-mohabbat ka by Abida Parveen

The song Ek lafz-e-mohabbat ka is written by Jigar Moradabadi, awesome lyrics and beautiful melodious singing. The song is from the album Paigham-E-Mohabbat. The composition is quite melodious itself which has been made by Muzaffar Ali. This is one of the finest ghazals by Abida Parveen. The composition is so fine that it feels as if the music is flowing it's own course and it touches you softly.



Lyrics:


Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai
simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai



Ankhon mein nami si hai chup-chup se wo baithe hain
nazuk si nigaahon mein nazuk sa fasaana hai



Ye ishq nahin aasaan itna hi samajh leeje

ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai


Dil sang-e-malamat ka harchand nishana hai
dil phir bhi mera dil hai, dil hi to zamana hai


Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai

simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai


Aansu to bahot se hain ankhon mein 'Jigar' lekin
bindh jaaye so moti hai rah jaaye so daana hai


Ek lafz-e-mohabbat ka adna saa fasana hai
simte to dil-e-aashiq phaile to zamana hai


No comments:

Post a Comment

Your comments and suggestion to improvisation and to add some new things are welcome. If you like the blog subscribe it to get the latest updates.