Showing posts with label Ustad Ahmed Hussain and Mohd Hussain. Show all posts
Showing posts with label Ustad Ahmed Hussain and Mohd Hussain. Show all posts

Saturday, December 1, 2012

Chal mere saath hi chal by Ustad Ahmed Hussain & Mohd. Hussain

"Chal mere saath hi chal" is a ghazal from the album Guldasta. The lyrics of the song has been written by Hasrat Jaipuri. The ghazal may not have something extraordinary but it's simplicity and lyrics would compel you to listen it. Thus with simple lyrics, sung in equally simpler soothing relaxed tone Ustad Ahmed Hussain & Mohd. Hussain create a magic with their rough but pleasing voice.  




Lyrics:

chal mere saath hi chal ai meri jaan-e-ghazal 
in samajon ke banaye huye bandhan se nikal, chal 

ham vahaan jaayen jahaan pyaar pe pehre na lagen 
dil ki daulat pe jahaan koi lutere na lagein 
kab hai badla ye zamana, tu zamane ko badal, chal 

pyar sachcha ho to rahein bhi nikal aati hain 
bijliyan arsh se khud raasta dikhlati hain 
tu bhi bijli ki tarah gham ke andheron se nikal, chal 

apne milne pe jahaan koi bhi ungli na uthe 
apni chahat pe jahaan koi dushman na hanse
chhed de pyar se tu saaz-e-mohabbat-e-ghazal, chal 

pichhe mat dekh na shamil ho gunahgaron mein 
samne dekh ki manzil hai teri taaron mein 
baat banti hai agar dil mein irade hon atal, chal

Tu mere saath na chal by Ustad Ahmed Hussain & Mohd. Hussain

"Tu mere saath na chal" is a ghazal from the album Zindagi the life. The lyrics has been penned down by the hindi-urdu poet and lyricist Hasrat  Jaipuri. The ghazal has been sung by the duo Ustad Ahmed Hussain & Mohd. Hussain. The ghazal is very akin to their ghazal Chal mere saath hi chal in it's lyrics and singing style. Alike the said ghazal, it would also be a good song to listen.





Lyrics:

Tu Mere Saath Na Chal E Meri Rooh-E-Gazal,
Log Badnaam na kar de_n Tu Iraadon Ko Badal.

Maine Maana Ki Bahut Pyar Kiya Hai Tune
Saath Hi Jine Ka Ikraar Kiya Hai Tune
Maan Le Baat Meri, Dekh Tu Is Raah Na Chal

Tu Mere Saath Na Chal E Meri Rooh-E-Gazal,
Log Badnaam na kar de_n Tu Iraadon Ko Badal.

Saath Dekhene To Phir Log Kahenge Kya Kya
Sochle Sochle Ilzaam Dharenge Kya Kya
E Meri Parda Nashi Dekh Na Parde Se Nikal,

Tu Mere Saath Na Chal E Meri Rooh-E-Gazal,
Log Badnaam na kar de_n Tu Iraadon Ko Badal.

Apni Ulfat Pe Kabhi Aanch Na Aa Jaye Kahin
Teri Ruswayi Ho Ye Baat Ganwara Hi Nahi
Dekh Nadan Na Ban, Hosh Me Aa, Yun Na Machal

Tu Mere Saath Na Chal E Meri Rooh-E-Gazal,
Log Badnaam na kar de_n Tu Iraadon Ko Badal.