Saturday, December 1, 2012

Faasle aise bhi honge by Ghulam Ali

Faasle aise bhi honge by is one of the most famous ghazals of Ghulam Ali. The lyrics of the ghazal has a beauty which translates into melody with the superb singing of Ghulam Ali. The ghazal has been sung many a times in mahfils by Ghulam Ali. There is one characteristic of Ghulam Ali that he may be singing a sad song but he has always sung it lightly and you're spellbound by his singing. Listen one of the best songs of him:




Lyrics:

Na uda yun thokaron se meri khak-e-kabr jaalim
Yehi ek rah gayi hai mere pyar ki nishani

Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Saamne baitha tha mere aur vo mera na tha

Woh ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaar suu
Main usse mahsus kar saktaa tha chhu saktaa na tha

Raat bhar pichhli hi aahat kaan mein aati rahi
Jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha

Yaad karke aur bhi takleef hoti thi adeem
Bhool jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha



न उडा यूं ठोकरों से मेरी खाक-ए-कब्र जालिम
यही एक रह गयी है मेरे प्यार की निशानी  

फ़ासले ऐसे भी होंगे ये कभी सोचा न था
सामने बैठा था मेरे और वो मेरा न था।

वो कि ख़ुशबू की तरह फैला था मेरे चार सू
मैं उसे महसूस कर सकता था छू सकता न था।

रात भर पिछली ही आहट कान में आती रही
झाँक कर देखा गली में कोई भी आया न था।

याद कर के और भी तकलीफ़ होती थी’अदीम’
भूल जाने के सिवा अब कोई भी चारा न था।

ख़ुद चढ़ा रखे थे तन पर अजनबीयत के गिलाफ़
वर्ना कब एक दूसरे को हमने पहचाना न था।

No comments:

Post a Comment

Your comments and suggestion to improvisation and to add some new things are welcome. If you like the blog subscribe it to get the latest updates.