The bhajan "Saanson ki maala pe" was originally sung by Meera Bai, a 16th-century Hindu Mystic. Nusrat Fateh Ali Khan has sung this song as a Sufi Qawwali and has added a divine flavour of Love and music to it. It was one of the most popular song in his Qawwali concerts. His divine voice plus divine lyrics of the song make it my one of the favourite songs in Qawwali format..
Aa Piya In Nainan Mein, Main Palk Dhamp Tohe Loon
Naan Mein Dekhoon Gair Ko Naan Mein Tohe Dekhan Doon
Kajal Daloon Karkira Jo Surma Diya Na Jaal
Jin Nainan Mein Piya Basey, Bala Doojha Koun Samaaye
Neel Gagan Se Bhi Pare Saiya Ji Ka Gaon
Darshan Jal Ki Kamna Pat Rakheo Ri Ram
Abb Kismat Ke Haath Hai Iss Bandan Ki Laaj
Maine To Mann Likh Diya Sawariya Ke Naam
Janey Koun Se Beiss Mein Sawarian Mil Jaye
Jhuk Jhuk Kar Sansaar Mai Sab Ko Karoon Salaam
Woh Chatar Hai Kamni Woh Hai Sundar Nar
Jiss Pagli Ne Kar Liya Sajan Ka Mann Ram
Jab Se Radha Shaam Ke Nain Hue Hain Char
Shaam Banne Hain Radhika Radha Ban Gaye Shaam
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Apne Mann Ki Main Janoo Aur Pi Ke Mann Ki Ram
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Yehi Meri Bandagi Hai Yehi Meri Pooja
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Ik Ka Sajan Mandir Mein Ik Ka Preetam Masjid Mein
Par Main Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Ham Aur Nahi Kachu Kaam Ke Matware Pi Ke Naam Ke
Sansoon Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Sajni Paati Tab Likhoon Jo Preetam Ho Pardes
Tann Mein Mann Mein Piya Basey Ab Bejhoon Kise
Har Har Mein Har Basey, Har ko Har ki Aass
Har Ko Har Har Dhoon Phiri Aur Har Hai Morey Paas
Prem Ke Raang Mein Aisi Doobi Ban Gaya Ek Hi Roop
Prem Ki Mala Japte Japte Aap Bani Main Shaam
Preetam Ka Kuch Dosh Nahi Hai Woh To Hai Nirdosh
Aapne Aap Se Batein Karke Ho Gayee Main Badnaam
Prem Piyala Jab Se Piya Hai Jee Ka Hai Ye Haal
Angaroon Pe Neend Aajaye Kantoo Pe Aaraam
Jeevan Ka Shingar Hai Preetam Mang Pe Hai Sindoor
Preetam Ki Nazron Se Girr Karr Jeena Hai Kis Kaam
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
Sanson Ki Mala Pe Simroon Main Pi Ka Naam
No comments:
Post a Comment
Your comments and suggestion to improvisation and to add some new things are welcome. If you like the blog subscribe it to get the latest updates.