Tuesday, February 19, 2013

Aahat Si Koi Aaye By Abida Parveen

Aahat Si Koi Aaye is a beautiful ghazal from the album Paigham-E-Mohabbat. The album was composed by the multi-talented director Muzaffar Ali. This song was written by Jaan Nissar Akhtar and sung by the famous sufi singer Abida Parveen. The poetry is so beautiful that it moves you away with each and every word of it and Abida Parveen has sung it with such a perfect ease that it smoothly touches the strings of your emotions. A beautiful composition, beautiful lyrics and beautiful singing make it a perfect ghazal.


Lyrics:

Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho
Saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho

Jab shaakh koi haath lagate hi chaman mein
Sharmaaye,lachak jaaye, to lagta hai ki tum ho

Raste ke dhundhalke mein kisi mod pe kuchh door
Ek lau si chamak jaaye to lagta hai ki tum ho

Sandal si mahakti hui purkaif hawa ka
Jhonka koi takraaye to lagta hai ki tum ho

Odhe hue taaron ki chamaktee hui chaader
nadiya koi bal khaye to lagta hai ki tum ho

Jab raat gaye koi kiran mere barabar
Chupchap se so jaaye to lagta hai ki tum ho.



No comments:

Post a Comment

Your comments and suggestion to improvisation and to add some new things are welcome. If you like the blog subscribe it to get the latest updates.